Ek Khwahish, Ek Aarzoo Hai
Dil-E-Tammanna Bankar Dil Mein Samana Chahta Hoo
Jaane Kaunsi Aawaz Ko Tarase Hai Khushi
Usi Aawaaz Par Jannat Lutana Chahta Hoon

Tanhai Mein Ek Apne Se Sakha Ka Saath Hai..
Us Insaan Ki Hasti Se Ek Naata Banana Chahta Hoon..
Youn Toh Aasman Mein Taare Jhilmilate Hai..
Main Toh Ek Tara Bankar Toot Jana Chahta Hoon..
Itne Taaron Ki Mehfil Mein Chand Tanha Hai Toh Kya..
Main Bhi Uski Chandani Mein Nahana Chahta Hoon..
Lamha Lamha Zindagi Hai… Zamane Bhar Na Reh Sakein..
Main Toh Ek Lamha Bankar Simat Jaanna Chahta Hoon..
Youn Toh Aate Rehte Hai Khwab Tujhko Jaan K..
Main Tujhe Khwabon Mein Aakar Satana Chahta Hoon..
Jan -E – Jahan, Na Ban Anjaan Mujhko Jankar..
Main Tujhe Har Saans Se Jaan Jana Chahta Hoon..
Youn Toh Teri Dhadkano.N Pe Haq Tera Hi Khoob Hai..
Jaan-O-Ruh Bankar Main Bhi Sargam Churana Chahta Hoon..
Gar Tu Keh De Mujhe Jaan-E-Wafa, Ae Zindagi..
Apne Dil Ko Jara Si Mohabbat Sikhana Chahta Hoon..
Jaan Meri, Ishq Mere Ahsaas Tujhko Khoob Hai..
Ishq K Sagar Mein Sahil Doob Jana Chahta Hoon…