Ek Kali Jo Aksar Tanha Rehti Hai,
Chaman Main Har Kahin Har Jagha Rehti Hai,
Magar Phir Bhee Jane Kiyon Tanha Rehti Hai,
Bhar Ke Apne Daman Main Khushbu,
Na Jane Usko Kiski Hai Aarzu,
Kiyon Gham Se Dil Laga Baithi,
Apne Komal Labo Ki Hassi Gawa Baithi,
Khule Akaash Sa Hai Uska Daman,
Dunia Ke Tamaam Dard Sametna Chahti Hai,
Suraj Ko Apne Gasoun Main Lapetna Chahti Hai,
Barish Ki Fuharo Main Bheegna Chhahti Hai,
Akaash Main Parindo Ke Saath Urna Chhahti Hai,
Aksar Jab Bhee Mujhse Milti Hai,
Mere Kandhe Pe Sar Rakhke Roti Hai,
Mujhse Apna Sab Ghum Kehti Hai,
Na Janae Mera Usse Kaya Rishta Hai,
Jo Uska Ghum Mujhe Torta Hai,
Main Usko Azaad Dekhna Chahta Hun,
Chiriyon Ki Tarha Chehakte Dekhna Chahta Hun,
Uska Alharpan Jo Khaab Ban Chuka Hai,
Us Khaab Ki Tabeer Chahta Hun,
Uski Rango Bhari Tasveer Chahta Hun,
Uski Badlna Taqdeer Chahta Hun,
Dena Usko Khushiyon Ki Jageer Chahta Hun,
Uske Khulke Hasne Se Nai Sehar Hogi,
Aashaon Se Bhari Uski Nazar Hogi,
Ghum Usse Koso Dur Bhaga Donga ,
Umango Ki Nai Dunia Saja Dunga,
Us Main Ek Pyara Sa Ghar Bana Dunga,
Chaand Ko Uski Hathli Pe La Dunga,
Wo Kali Jee Bhar Ke Jeena Chahti Hai,
Main Usko Jeena Sikha Dunga,
Khaab Zindagi Ka Aankho Main Basa Dunga,
Uski Khushbu Se Dunia Mehka Dunga,
Us Kali Ko Chaman Ki Zeenat Bana Dunga
Us Kali Ko Chaman Ki Zeenat Bana Dunga
Us Kali Ko Chaman Ki Zeenat Bana Dunga