Ek Haseen Shaam Thi,
Main Bus Mein Aur Woh Mere Saamne Thi.
Unko Dekhtey hi Kambahkt Dil Ki Dhadkan Tez Hui,
Aur Dil Mein Aarzowon Ki Takraar Hui.
Aankhon Ki Chilman Se Maine Kabhi Unko Dekhaa,
To Kabhi Apne Is Bimar Dil Ki Dhadkan Ko‚  Sunaa.
Woh Masoomi Aur Woh Nazakat,
Jaise Jheel Mein Bighi Hui Kamal Ki Thartharahat,
Cherepe Woh Zulfon Ka Girna,Marmari Hathon Se Sawarna,
Yeh Dekhar, Meri Arzoon Hui Unki Bahoon Mein Marnaa.
Dil Ki Dhadkan Ne “Bus” Ki Raftar Ko Peeche Chod Diya,
Aur Maine Haqeeqat Ko Chod Kar Apne Aap Ko Khwabon Mein Payaa.
Silsila Yoonhi Chalta Raha,Main Unko Dekhta Hi Rahaa,
Manzil Ek Na Thi, Isliye Rastaa Alag Huaa
Lekin Abhi Usi Modh Pe Unka Intezaar Hai,
Unkeliye Yeh Dil Bekraar Hai.