Ek Din Shayad Galti Se, Koi Aur Samajhke
Muskurake Zindagi Ne Mujhe Gale Laga Liya!
Hairan Tha Dil Par Jee Lena Chahta Tha
So Bita Di Un Chori Ke Palon Mein Apni Tamaam Umr !
Khwaab Tha Lekin, Tootna Hi Tha !
Par Ye Pagal, Deewani Chahat Ki Lau
Ye Lau To Jaise Choo Lena Chahati Thi Aasmaan
Aur Jal Rahi Thi Teji Se Maan Ki Utari Hui Nazar Ki Tarah
Bujh Gayi Ab Poochta Hoon Chilla Chilla Ke Apne Hi Aks Se
Kyun Aankhon Mein Koi Chehra Yun Basta Hai Jaise
Purane Frame Mein Kisi Bachche Ki Muskurati Tasveer !
Uthata Hai Dhuan In Aankhon Mein To Dil Bhi Peeche Peeche
Usi Ke Hamdam Ki Tarah Rota Hi Jaata Hai Jaar Jaar !
Kah Raha Hoon Is Dil Se Pagle
Too To Janma Hi Tha Garal Peene Aur Marne Ke Liye
Har Lamha, Har Ghadi, Har Pal Bas Kuchalne Ke Liye !
Ye To Tera Hai Achcha Naseeb
Jo Chura Liye Do Pal Khushi Ke Bhi Kahin Se,
Ab In Do Palon Mein Hi Bita De Bas Apni Zindagi !
Ab Yahi Hai Teri Niyati, Yahi Tera Bhagya
Yahi Tera Jeevan, Inhin Mein Teri Har Saans !
Har Saans Mein Ab Jo Hai Naam
Vahi Tera Rasta, Vohi Tera Makaam !
Jee Le Ye Zindagi Bas Leke Uska Naam
Aur Rakh Ke Palkon Pe Vohi Khwaab
Ki Ek Din Zindagi Ne Muskura Ke Mujhegale Laga Liya !