Ek Barsati Subah Mein Apni Hathheli Mein
Pani Ko Girte Sarkte Dekhti Rahi
Aur Mere Is Khel Ko Door Se Tum Dekhte Rahe.
Meri To Sukh Ki Kalpna Bas Itni Si
Tum Paas Aaye Aur Sukh To
Mere Pichhe Pichhe Daudta Aaya.
Dophar Hui, Hawa Mein Asar Thhi Barsaat Ki
Maine Tumse Puchha‚  Bataaw To
Meri Muthhi Mein Kya Hai???
Tum Muskuraaye Aur Kaha
Tera Aur Mera. Hum Dono Ka Sukh.
Aur Sukh To Aa Khada Huaa Mere Paas Hi.
Meri To Sukh Ki Kalpna Bas Itni Si….
Tum Muskuraayae Aur Sukh To….
Chhalkne Laga Meri Muthhi Mein
Shaam To Aayi Khalipan Si, Aur Aashmaan Bhi Khali
Hathheli Bhi Khali-Khali Aur ….
Pani Ki Tarah Sukh Bhi Sark Gaya Sarsar….
Aankh Se Barsa Sawan Par Oonhae
Tumne Nahi Thhama, Tumhara Sukh Alag
Aur Mera Sukh Alag,
Meri To Sukh Ki Kalpna Thi Bas Itni Si..
Phool Bhi Nahi Maangi Thhi Nanhi Kali Si
Par Sukh To Daud Gaya Mere Aagae Aagae..
Raat Hui, Aur Maine Jana
Sukh Nahi Koi Kalpna Mein Aur Nahi Kisi Ke Sathh Mein
Sukh To Hai Apne Hi Apne Rishte Mein
Hum Jo Haste Hai Wo Hai Sukh
Hum Jo Jitae Hai Wo Hai Sukh
Aashmaan Maie Tarae Zilmilaaye
Maine Dekha Sukh To Muskurata Huaa
Aa Baithha Mere Man Vishaal Mein