Dopahar Ke Baad Mein Leke Purse Haath Mein
Deviji Nikal Paree Saheliyon Ke Saath Mein
Aur Hum Kitchen Mein Charhi Dal Dekhte Rahe
Deviyon Ke Mood Ka Kamaal Dekhte Rahe
Deviyon Ke Mood Ka Kamaal Dekhte Rahe
Ghar Ko Sunaa Kar Humare Ghar Ki Jab Dulhan Gayee
Hum Ko Yun Lagaa Ki Jaise Chaand Ki Kiran Gayee
Aur Baat Baat Mein Kuchh Baat Aisee Ban Gayee
Hum Udaas Baithe Rahe Aur Daal Ufan Gayee
Aur Daal Ufan Gayee
Tham Kar Rumaal Se Utara Jab Patili Ko
Fauran Us Rumaal Se Aag Ki Lapat Uthee
Aur Hum Pitte Pitte Dhooen Main Ghute Ghute
Apna Jalta Reshmee Rumaal Dekhte Rahe
Deviyon Ke Mood Ka Kamaal Dekhte Rahe
Deviyon Ke Mood Ka Kamaal Dekhte Rahe
Mood Off Ho Gaya To Hum Bhee Ghar Se Chal Pare
Cycle Uthayee Maal Road Par Nikal Pare
Lekin Aadmi Ko Bhookhe Pate Kaise Kal Pare
Dagmagayee Cycle To Hum Waheen Fisal Pare
To Humwaheen Fisal Pare Car Ek Aa Bhiri
Toot Gayee Pasliyaan Aur Hum Jhuke Jhuke Sharm Se Pite Pite
Apni Kohniyon Ki Chili Khaal Dekhte Rahe
Deviyon Ke Mood Ka Kamaal Dekhte Rahe
Deviyon Ke Mood Ka Kamaal Dekhte Rahe
Car Ko Chala Rahee Thee Ek Haseen Phuljhari
Car Se Utar Woh Saamne Ho Gayee Kharee
Aur Hum Pitte Pitte Sharm Se Jhuke Jhuke
Uski Dheemi Dil Fareb Chal Dekhte Rahe
Deviyon Ke Mood Ka Kamaal Dekhte Rahe
Deviyon Ke Mood Ka Kamaal Dekhte Rahe