Dill Me Toofan Tha Aur Man Bechain Tha
Unjaan Ghatna Se Hum Bekhabar The
Aarzoo Thi Unse Baat Karne Ki
Kyaa Hua Yeh Jaanne Ki
Chhar Roz Gujharte Jaise chaar Yug Beetein
Phir Bhi Humari Aas Nahi Tuti
Unke Waadein Hur Baar Yaad Aaye
Wo Bewafaa Honge Ye Dil Nahi Maane
Zindagi Unke Bina Jiye Nahin Jaaye
Jhooth Ka Sahara Ab Liye Nahin Jaaye
Ek Hi Raasta Nazar Ab Aaye
Eh Maalik, Teri Duniya Me Ab Dil Nahi Lage
Humari Zindagi Nahin Humare Haath Me
Jo Khuda Cchahta Hai Wahi Hota Hai Unt Mke
Maut Ke Mukh Se Wapas Hum Laute
Usi Zindagi Me Jo Ab Hai Maut Se Bhi Badtar
Kucch Raaz Khul Gaye Jab Rahe Maut Ke Darwaaze
Sacchai Ko Gale Lagaya Dil Ko Mazboot Karke
Hum Sab Kasoor Hodhe Apne Hi Sar Pe
Lekin Unke Daaman Pe Daag Nahi Lagaye
Shatranj Ka Khel Khela Gaya Humse
Duniya Ne Jab Kiya Saamna Unse
Aakar Kucch Aur Hi Bataya Gaya Humse
Aur Unki Bewafai Phenki Gayee Mukh Pe
Hum Bahoot Kamzor The Dil Ke Halat Se
Unki Zubaan Se Sacch Sunna Cchahte The
Unke Inkaar Se Tadap Ke Rah Gaye
Ek Baar Phir Jeewan Se Haar Gaye
Unke Sab Nishaan Ccheen Liye Gaye
Unki Cchitthiyan Le Gayee Jhor Se
Aapne Dostton Ke Saamne Be-Izzat Kiye Gaye
Pinjare Me Pancchi Ki Tarah
Phadfadate Hi Rah Gaye
Humne Haath Jod Aapna Kasoor Mana
Aur Us Kasoor Ki Mangi Sazaa
“Aapne Jeewan Se Phenk Do Humko
Aur Kardo Humko Pariwar Me Badnaam”
Shayad Humari Sazaa Yehi Hai
Jisko Aapni Aatma Arpan Ki
Aapna Humsafar Aur Humnawaz Mana
Wo Bhi Hume Kasoor Waar Kahtaa Hai
Humare Jajhbaat Ki Koi Bayaan Nahi
Humare Pyaar Ki Koi Jhubaan Nahi
Yeh Dil Hi Sirf Gawaah Hai
Yeh Pyar Kitna Pavitr Hai Napaak Nahi