Dilkashi Ka Aalam Hota Hai
Jab Kuch Niharte Hain
Vo Hume Sajte Huye Kuch
Payar Se Kuch Sharm Se
Sachi Hum Gulnar Huye
Jaate Hain Fir Se Aankho
Ko Jhapjhapate Hain
Aha.N Mujhse Tum
Kitna Payar Karte Ho
Aksar Sharma Jati Hu
Sube Naha Ke Aaene Per
Jab Samna Hota Hai Un
Surur Bhari Nazro Ka
Gile Geysuo.N Ko Sehlate
Se Vo Muskurate Se
Us Kashish Bhari Chuan
Se Hume Sharmate Se
Aur Hum Achanak Puchte
Hain Ithlate Se Hee Kaho
Jara Mujhe Tum Kitna Payar Karte Ho
Vo Madhosh Si Tanhayia
Vo Raat Ki Gehraiyia
Vo Dil Ki Bechainiyia
Vo Baato.N Ki Sargoshiyia
Vo Tazi Si Lagti Har Shokh Raat
Vo Hosh Khona Unka Aur
Nasheman Ho Mehekna Hamara
Behekne Se Pehle Chehekna Hamara
.
Kano Me Unke Sargoshi Si Karna Suno Na
Band Karte Vo Aankhein
Main Tumse Kitna Payar Karta Hu
Vo Silna Hontho.N Ka Unka
Jawab Kahin Ghul Jaye Ruh Me Meri
Kahin Kho Gaye Ye Lafz Us Junun Me Kuch Pal Ko
Suno Mujhe Tum Kitna Payar Karte Ho