Dilabar Ke Naam Par Dhadkane Wale Har Dil Ko Salam
Is Deewanagi Me Jeene Wale Har Dilbar Ko Salam
Duniya Ke Sitam Par Bhi Nahi Juki Jo Us Nazar Ko Salam
Par Milte Hi Dilabar Se Kabhi,Sharma Gai Jo Us Nazar Ko Salam
Us Umar Ke Pahele Ahesas,Peheli Aash Ko Salam
Unki Yaad Me Hi Aati Jati Har Saans Ko Salam
Pyar Me Guzare Hue Har Lamhe, Har Pal Ko Salam
Dil Me Rahene Wali Har Aarzu Har Tammna Ko Salam
Manzil Nahi Pata Aur Chalte Rahe Jis Par, Us Rah Ko Salam
Milane Ki Khushi, Aur Judai Me Jo Uthti Rahi, Us Aah Ko Salam
Khub Bahakar Aanshu Jo Hasti Rahi Un Aankho Ko Salam
Har Sitam Sahe, Phir Bhi Jo Chup Rahe, Un Hotho Ko Salam
Jisme Dub Kar Hi Paar Jayenge Sabhi Aise Dariya Ko Salam
Jisme Mar Kar Hi Jee Payegen Sabhi Aise Isq Ko Salam