Dil Ke Aangan Mein Koi Ayaa Hai, Saath Apne Bahaar Koi Layaa Hai,
Har Taraf Phool Or Khili Hai Kaliyaa, Kitna Dil Kash Hansi Nazaara Hai,
Us Ke Aane Se Mere Jiwan Mein, Sari Duniya Ki Khil Gayi Kaliyaan,
Raat Din Uss Ko Hamne Manga Tha, Apne Rab Se Dua Yeh Karte The,
Usne Sunli Hamare Dil Ki Sadaa, Ab To Sajan Pe Sirf Marte Hai,
Har Taraf Pyaar Ka Nzaara Hai, Har Taraf Chandni Si Bikheri Hai,
Uski Sanson Mein Aesi Khushbu Hai, Jese Gulshan Sabayei Bikhri Hai,
Us Ki Rangat Hai Duadh Ke Jesi, Chandni Us Mein Phiki Lage Hai,
Uski Ankhon Mein Hai Nasha Aesa, Sare Mekhane Jhute Lagte Hai,
Bhigi Zulfein Us Ki Mujh Ko To, Kale Badal Ghanere Lagte Hai,
Bhigta Hun Mein Roz Barish Mein, Aesa Sawaan Wo Mujh Ko Lage Hai,
Uss Ke Ane Se Dil Ke Angaan Mein, Har Taraf Pyar Pyaar Bikhraa Hai,
Duniya Lagti Hai Jese Jannat Yeh, Kya Mohabbat Ka Yeh Nzaara Hai,
Rab Se Karte Hai Ye Dua Ham To, Taa Qyamat Naa Ho Judaa Ab To,
Us Ki Banhon Mein Jo Mout Aye, Wo Nzaara Bhi Ham Ko Pyara Hai,
Ishq Or Pyaar Karne Walon Ko, “Bibbo” Ki Nazm Ka Ye Isharaa Hai.
By Hameeda Ameer