Dil-E-Muztar Ki Daastaan Sun Kar
Kahin Tuu Bhii Dukhii Na Ho Jaaye!
Kyun Chupaate Ho Apne Chehre Ko
Chaar Su Teergii Na Ho Jaaye!

Shab-E-Vaslat Ka Yeh Haseen Manzar
Saa’at-E-Aakhrii Na Ho Jaaye!
Har Gharii Dar Yahii Sataata Hai
Har Khushii Aarzii Na Ho Jaaye
Mujh Ko Dar Hai Tumhaari Chaahat Mein
Dheere Dheere Kamii Na Ho Jaaye
Bade Gusse Mein Woh To Aaye Hain
Aaj Aafat Kharee Na Ho Jaaye
Dil-E-Naazuk Lo Aaj Phir Tootaa
Kahin Phir Shaa’irii Na Ho Jaaye!
Aye Miree Jaan! Teri Furqat Mein
Mukhtasar Zindagii Na Ho Jaaye
Ye Raqaabat “Shumaila” Phir Se
Baa’is-E-Be-Kalii Na Ho Jaaye!