Dil-E-Dasht Jaa Kii Taraff Ek Nazar Nahi Dekhaa
Tha Humne Laakh Pukara Magarr Nahi Dekha.
Mere Hi Aage, Kaante Bichake Chalta Hai Shaat Shaat
Humne To Kabhi Aaisa Humsafar Nahi Dekhaa.
Uske Liye To Pani Se Badhkar Nahi Hai Ashq,
Aur Humne Ashq Se Behtar Gohar Nahi Dekhaa.
Uski Aakkhon Mein, Hamesha Khushiyon Kii Talab Thi,
Shayad Issi Liye Mera Chaak Jigar Nahi Dekhaa.
Suna Hai Aaj Kal Gairon Ke Ghar Basaane Laga Hai Woh,
Huyee Muddat Ke Hamne Aapna Hi Ghar Nahi Dekha.
Kaha Majnu Se “Ke Tu Shehanshah-E-Badhawasi Hai”
Woh Bola “Talib Sa Koi Aashuffta-Sar Nahi Dekha”