Dil Diya Tumhe, Yeh Kya Bura Kiya
Chaha Hi Hai Tumhe, Yeh Kya Bura Kiya
Thi Ek Nazar Ki Mohtaaz, Meri Nazar
Pooja Hi Tha Tumhe, Yeh Kya Bura Kiya
Kehne Ko To Lub Khule The, Aur Nigahen Pher Le
Goya Hi Nahi Huai, Yeh Kya Bura Kiya
Muntazar Thi Aakhen, Woh Aayenge Zaroor
Yeh Khayal Tha Hamara, Yeh Kya Bura Kiya
Chaake Girenbaa Hua Jub, Tau Hairaan Ho Gaye
Yeh To Tesveer Hai Hamari, Yeh Kya Bura Kiya
Diwaane Ho Gaye Hum, Firaake Yaar Main
Majnu Bhi Keh Uttha, Yeh Kya Bura Kiya