Derr Tak Chalti Rahii Kal Baat Telephone Per
Baith Ker Humne Guzaari Raat Talephone Per
Shouk Ki Shahnaiyan Bajti Rahi, Sajti Rahi
Dulhan-E-Didaar Ki Baraat Telephone Per
Namurad-E-Ishk Hai, Shayed Ye Koi Diljala
Mangta Hai Husn Ki Khairaat Telephone Per
Samne Ki Baat Hi Kuchh Or Hai, Lazzat Hi Aur
Ban Nahi Sakti Kabhi Wo Baat Telephone Per
Baat Sun Ker Khush Hue To Pyaar Se Chuma Use
Ranj Me Aaye To Maari Laat Talephone Per
Khud Milege To Na Jane Kya Kyamat Dhayenge
Gaaliyon Ki Bhej Di Sougat Talephone Per
Wo Musalsal Kah Kaho Ke Phul Barstae Rahe
‘Samnoj’ Ne Ki Aankho Se Barsaat Telephone Per