Dekha Jo Use To Hua Nahin Yaqeen
Ho Bhee Sakta Hai Koi Itna Haseen
Dilo-Dimagh Pe Nasha Sa Chha Gaya
Khayalon Mein Uske Khota Chala Gaya
Chehre Pe Us Haseena Ke, Bass Thi Meri Nazar
Kya Ho Raha Wahan Par, Kuchh Bhee Na Thi Khabar
Sunkar Azan-E-Maghrib Usne Jo Sar Dhaka
Mashallah Kahe Bina Main Bhee Na Rah Saka
Shayad Ye Bhee Kam Tha; Ik Aur Ada Dikhlai
Na Jane Kis Baat Pe, Halke Se Muskurai
Jab Muskurane Se Hi Main Ho Gaya Ghayal
Hans Deti To Yaqeenan Ho Jata Mai Pagal
Uske Muskurate Khayalon Mein Hoke Gum
Pyaar Se Maine Rakha Naam Uska Tabassum