Daag Dabbe Chod Kar Acha Hi Dekhna
Jaante Hai Hum Bhi Aaene Mein Chehra Dekhna
Sau Khaamiyon Par Apni Parda Dalte Hai Yeh Log,
Kehte Hai Dekhna Hai To Sirf Khoobiyan Dekhna
Sadiyon Se Pyasa Tha Par Phir Bhi Sota Raha Sukoon Mein,
Raas Aata Tha Usse Bhi,
Sirf Khwaabo Mein Dariya Dekhna
Jahan Dekho Waha Khauff Sehmapan Sa Hai,
Har Ek Ke Chehre Par,
Yehi Haal Hai Aaj Mere Desh Ka,
Croreodo Mein Khud Ko Tanha Sa, Akela Dekhna
Inn Aankhon Ko Bhi Ab Bhaa Gayi Hai Kaali Raat,
Inhe Nahi Hai Ab Aur Ujaala Dekhna
Kuch Maasum, Begunaaho Ki Jaan Lekar Kya Haasil “Khwaish”
Bahut Hua Yeh Khoon Ka Tamaasha Dekhna
Har Mazhab Seekhata Hai Pyaar, Mohabbat, Imaan Ki Baatein
Khatam Hogi Ek Din Zaroor Yeh Deshat
Rang Laayegi Khwaish Ki Yeh Dua Dekhna