Choti Si Meri Khawaish Aayi Thi Mere Paas
Khil-Khilakar Dilaya Usne Apne Hone Ka Aiehsaas
Itthlakar, Itraakar Ghum Rahi Thi Yahi Kahin Mere Aas Paas
Muskraakar, Sharmaakar Kar Rahi Thi Apni Khushi Ka Iizhaar
Palke Bichaiye Kar Rahi Thi Apne Pura Hone Ka Intzaar
Per Nadan Thi Anjaan Thi Is Baat Se Beikhabar
Kii Reh Jayegi Wo Yunhi Adhuri Sii
Aur Naa Kabhi Hogi Puri Uski Ye Aas
Per Phir Bhi Choti Si Meri
Hawaish Aayi Thi Mere Paas