Chehra Mere Tha Nighahein Uski
Khamoshi Mein Bhi Woh Baatein Uski
Mere Chehre Par Gazal Likhti Gayi
Sher Kehti Hui Aankhein Uski
Shok Lamhon Ka Pata Dene Lagi
Tej Hoti Hui Saanse Uski
Aise Mausam Bhi Guzare Humne
Subhah Jab Aapni Thi,Shaamein Uski
Dyaan Mein Uske Yeh Aalam Tha Kabhi
Aankh Metaab{Chand}ki,Yaadein Uski
Rang Joinda{Khoji}wo,Aaye To Sahi
Phool To Phool Hai,Shakhein Uski
Faaisla Mauj-E-Hawa Ne Likhaa
Aandhiyaan Meri , Baharein Uski
Khud Pe Bhi Khulti Na Ho Jiski Nazar
Janta Kaun Zabane Uski
Neend Is Soch Se Tooti Aksar
Kis Tarah Kat Ti Hai Raatein Uski
Door Rehkar Bhi Sada Rehti Hai
Mujhko Thame Hue Bahein Uski!