Chandni Raaton Main
Tanhaeyo Ke Aalam Main
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai
Ye Mausam Ka Takaza Hai
Ya Nasha Hai Uske Pyar Ka
Wo Hawa Ban Ke Badan Ko Chu Ke
Ruh Main Utar Jaata Hai

Chand Ko Dekhti Hu Jab Jab
Sharm Si Mujhko Aati Hai
Ye Chand Bhi Ab To Mujhe
Usi Ka Chehra Dekhata Hai
Ye Taaro Se Bhara Aasmaan
Aur Bhi Mujhe Lubhata Hai
Chanchal Si Dil Ki Aarzu Oo
Ko Andekha Paigam De Jata Hai
Barish Ki Bunde Jab Mere
Tan Ko Bhigo Ke Hasti Hai
Ek Shararat Bhari Nazro Se
Wo Mujhe Ched Ke Jaata Hai
Shardi Ki Raaton Main Jab Jab
Neend Se Bezaar Hoti Hu
Wo Chup Ke Se Aake Mujhe
Apne Sine Pe Sula Ke Jaata Hai
Behti Hui Ye Nadiya
Mujhe Ye Kehti Jati Hai
Tu Jiski Deewani Hai
Wo Bhi Tujhe Chahta Hai
Chandni Raato Main
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai
Chand Banke Wo
Mere Dil Main Sama Ta Hai