Chand Ki Madham Madham Roshni Mein
Hum Ek Saye Ke Sang Karwate Badalte Rahe
Machalte Rahe Angoor Jaise Labon Pe Sanam Ke
Aur Unglion Se Unke Gore Badan Par Naam Likhte Rahe
Kabhi Poocha Raat Ne Humse
Ki Yeh Tera Hum Saya Kya Hai
Kya Hai Yeh Barood Tere Seene Me
Tu Yeh Kismat Me Apni Likhwa Ke Laya Hai
Aatishon Ke Dehekte Angaaron Me Ab Hum Pighalne Lage
Jism Bann Raha Hai Dariya Sanam Ke Dekho Tere Ashique Ab Doobne Lage
Chand Ki Madham Madham Roshni Me
Hum Ek Saye Ke Sang Karwate Badalte Rahe.