Chand Ke Jasie Mukhde Wali Hogi
Chandini Ki Chamak Aankhon Main Hogi
Daag Woh Chaand Ka Uski Bindiya Banegi
Esi Hi Koi Pari Meri Dulhaniya Banegi
Baadal Uska Aanchal Banega
Taroon Se Uska Aanchal Sajega
Uske Aanchal Se Mere Zindagi Ke Dorr Bandhegi
Esi Hi Koi Chandini Pari Mere Liye To Bani Hogi
Saj Dhaj Ke Har Shaam Aankhon Main Aati Hain
Har Raat Uske Khwabon Main Nikal Jaati Hain
Khwabon Se Nikal Haqeeqat Main Kab Aayegi
Kya Esi Koi Pari Meri Zindagi Sajayegi
Raah Dekh Raha Tha Raah Dekh Raha Hoon
Ab To Aa Jaaye Khuda Se Yehi Fariyaad Karta Hoon
Esi Maang Kar Di Ki Woh Bhi Hairaan Hain
Kaise Do Ise Chandini Pari Woh Bhi Pareshaan Hain
Beeta Hua Waqt Mujhe Samjhane Laga
Apne Khwabon Khyalon Ko Lagam Laga
Esi Koi Pari Nahin Bani Tere Liye
Chadi Si Pariyan Hoti Hain Khwabon Ke Liye
Woh Jo Dikhti Hain Teri Kismat Nahi
Bahut Bhoole Rahe Ho Har Kahin
Nahin Aata Tumhe Kisi Ko Khinchna Apni Oor
Pariyon Par Nahi Chalta Khwabon Ka Zor