Chand Kay Tamana‚  Shahar E Dil Ke Galiyoon Mein
Shaam Say Bhataktay Hai Chaand Kay Tamana
Bayqarar Sodai Dil Gudaaz Tareeki
Jaan Gudaaz Tunhai Rooh O Jaan Ko Dasti Hai
Rooh O Jaan Mein Basti Hai
Shahar E Dil Ke Galiyoon Mein
Taak E Shab Ke Bailoon Par
Shabnameen Sar Kashoon Ke
Bayqaraar Logoon Nay
Bayshumaar Logoon Nay
Yaadgaar Choori Hai
Itni Baat Hooti Hai?
Sad Hazaar Battain Theen
Hailaa E Shakeebai
Souratoon Ke Zaibaaiyee
Kamatoon Ke Ranaayee
In Sayaah Ratoon Mein
Aik Bhi Na Yaad Aye
Ja Baja Bhataktay Hain
Kiss Ke Raah Taktay Hain
Chand Kay Tamanaiyee
Aaj Dil Mein Veerani
Abar Ban Kay Ghar Aye
Aaj Dil Ko Kaya Kahiyeah
Bavaafa Na Harjai
Phir Bhi Loog Divanay
Aa Gai Hain Samjhanay
Apni Vahshaat Dil Kay
Bun Liyeah Hain Afsaay
Khush Khayaal Duniya Nay
Garmiyaan Tu Jati Hain
Who Rutain Bhi Aati Hain
Jab Malool Ratoon Mein
Dostoon Ke Baton Mein
Jee Na Chain Paye Ga
Aur Oob Jai Ga
Ahaton Say Gonjay Gi
Shahr E Dil Ke Punhaye
Aur Chand Ratoon Mein
Chandini Kay Shaidayee
Har Bahanay Niklain Gai
Azmanay Niklain Gai
Arzoo Kay Gayrayee
Dhondnay Ko Ruswayee
Sard Sard Ratoon Ko
Zard Chand Bakhshay Ga
Bay Hisaab Tunhai
Bay Hijaab Tunhai
Shahar E Dil Ke Galiyoon Mei