Chanchal Si Ek Shokh Kali Mere Khwabon Main Aati Hai
Raat Raat Bhar Phir Mujhko Yun Hi Khwabon Main Jagaati Hai
Zaanu Pe Mera Sar Rakhkar Aankhon Aankhon Main Ankhein Daale Hue
Zulfon Ke Baadal Main Lafzon Ki Barish Kar Jaati Hai
Chehre Pe Chamak Honthon Pe Laali Baatein Naye Andaaz Waali
Jism Ki Uski Khushboo Bhi Tarotaaza Kar Jaati Hai
Banhein Uski Lachakti Daali Chaal Uski Hooron Waali
Aamad Se Uski Kitne Nazzaron Ko Aag Lag Jaati Hai
Honthon Se Uske Phool Hain Jharhte Baton Se Uski Khushbu Aaye
Chehre Se Jo Woh Zulfein Hataye Roshni Bikhar Jaati Hai
Aaghaaz-E-Ghazal Kahoon Use Ya Anjaam-E-Ghazal Kahoon
Mujhko To Woh Mukammal Ghazal Nazar Aati Hai
Khwabon Ki Hi Hai Woh Malika Duniya Main Uska Wajood Nahin
Duniya Main To Uske Jaisi Koi Nazar Nahin Aati Hai