Chale Aaye Wo Yaar Aaj Apne Gareebkhane Main
Aur Hum Kar Gaye Kayi Khatayen Anjaane Main
Ye Kya Nasha Tha Meri Aankhon Main Ja Samaya
Ruth Gayi Khushi Wo, Umra Lagi Jise Kamane Main
Kya Khabar Thi Wo Bura Maan Jayenge Is Kadar
Ki Humen Lag Jayenge Kayi Baras Manane Main
Na Rok Saka Unhe Main Bebasi Ye Kaisi Chayi Thi
Ye Saza Hai Meri, Gujar Dun Jindgi Pachtane Main
Kal Ka Kya Bharosha, Yakeen Ho Bhi Jayega Unhe
Hum Na Rahe, Kahin Kar Den Itni Dair Batane Main
Wahi Manzar Wahi Jism, Na Raha Wo -Ë—saccha_pyar-‘
Ghar Luta Apna, Duniya Sajayi Hai Maikhane Main
Aur Na Poocho Dastaan-E-Mohbbat E Jamane Walo
Hai Yai Kahani Meri, Suna Dala Jise Is Tarane Main
Kyun Aaye Wo Yaar Aaj Apne Gareebkhane Main
Kar Gaye Kyun Hum Kayi Khatayen Anjaane Main