Chahat Ki Rehguzar Mein Tijaaret Nahi Karo
Aisa Hi Shoq Hai To Mohabbat Nahi Karo
Jab Dil Se Har Qasoor Ko Tasleem Kar Liya
Lafzoo’n Mein Baar Baar Wazaahat Nahi Karo
Saansein Meri Na Qaid Karo Sood Ke Ewaz
Mujh Se Waool Jeeney Ki Qeemat Nahi Karo
Naqsha Merey Bazurgoo’n Ne Iss Ka Banaya Tha
Taqseem Baam-O-Dar Ki Yeh Jannat Nahi Karo
Ik Aakhri Panaah To Rehney Do Merey Paas
Mujh Se Juda Yeh Ghar, Yeh Meri Chat Nahi Karo
Tum Zar-Khareed Munsif-O-Aadil Ho, Iss Liye
Merey Muaamley Ki Samaa’at Nahi Karo