Chaandni Bhi Fikki Padh Jaati Thi Uske Aage
Jab Meri Jaan Nahanke Bahar Aaya Karti Thi
Aadayein Dekh Uski Bechain Ho Jata Tha Dil
Jis Tarah Gile Baloon Ko Vo Sehlaya Karti Thi
Madhosh Karti Thi Uski Chudion Ki Awaaj Mujhko
Jab Vo Banake Chai Mere Liye Laya Karti Thi
Zid Karna Lagta Tha Mujhko Acha Uske Aage
Kyunki Uski Pyaari Daant Mujhko Bhaya Karti Thi
Uski Maathe Ki Bindiya, Uski Aankhon Ka Kajal
Pal Bhar Main Mujhe Deewana Banaya Karti Thi
Hasti Thi Bahut Jab, Baat Koi Bhi Kiya Karti Thi
Uski Baaton Main Jaise Mishri Samaya Karti Thi
Uske Pass Baithne Ko Dil Machalta Rehtaa Tha
Vo Jaado Mujhpe Kuch Aisa Chalaya Karti Thi
Kitna Mushkil Ho Wakt Vo Sambhalti Thi Mujhe
Na Tutne Deti, Vo Mera Saath Nibhaya Karti Thi
Uska Vo Sarmana Aaj Bhi Yaad Aata Hai Mujhe
Lun Aagosh Mein, Vo Ankhein Band Kiya Karti Thi
Jab Chumon Maathe Ko Pyaar Se Main Kabhi
Vo Sarma Ke Agosh Main Bhikar Jaaya Karti Thi
Udassi Ka Aalam Hai Aaj Har Taraf Duniya Main
Vo Tuh Banke Saya Mujhme Samaya Karti Thi
Aaj Ghar Jaane Ka Mann Nahi Karta Yaaro Mera
Hoti Thi Vo Tuh Mujhe Ghar Jaldi Bhulaya Karti Thi
Jaane Kyun Cheen Liya Khuda Ne Usko Mujhse
Mera Tuh Din Uski Muskurahat Banaya Karti Thi
Nahi Karta Aaj Uske Bina Jine Ka Mann Mera
Uske Saath Jzindagi Jannat Nazar Aaya Karti Thi
Honge Duniya Mein Aur Bhi Lakhon Hasin Yaaro
Meri Jaan Mein Mahobaat Ki Devi Samaya Karti Thi