Chaaha Hai Tumhe Har Chaahat Se Zyada,
Maanga Hai Tumhe Har Mannat Se Zyada.
Ab To Khuda Se Dua Yehi Hai Bas,
Umar Ho Tumhari Mujhse Bhi Zyada.
Is Chaahat Mein Paagal Ho Jaane Ka Darr Hai,
Paas Hun Tere Phir Bhi Kho Jaane Ka Darr Hai.
Tujhe Chupa Loon Apne Is Aanchal Mein,
Tujhse Bichad Jaane Ka Darr Hai.
Aa Jao Chaahat Tumhe Pukaarti Hai,
Itni Bhi Kya Naaraazgi Hai.
Ab Bahut Hua Gussa Tumhara,
Intzaar Karti Humari Mohabbat Ki Paalki Hai.
Teri Chaahat Na Jaane Humein Kahan Le Jaaye,
Tere Kaaran Hi To Hum Is Duniya Mein Aaye.
Ek Tu Hi To Hai Is Sansaar Mein Mera,
Teri Hi Surat In Aankhon Mein Samaaye.
Main Chaahat Mein Khoyi Hun Sanam,
Mujhe Na Pata Hain Phir Bhi Kitne Gam.
Agar Tune Mujhko Kubool Na Kiya,
Chad Jaaongi Sooli Main, Teri Kasam.
Tu Mere Har Khayaal, Har Ehsaas Mein Hai,
Tu Meri Chaahat Mein, Meri Yaad Mein Tu Hai.
Tujhi Se To Hai Meri Zindagi,
Ab To Khuda Mein Bhi, Aur Mujh Mein Bhi Tu Hai.
Nas Nas Mein Samaayi Hai Khushboo Tumhari,
Sanson Mein Tumhari Chipi Hai Zindagi Humari.
Aankhon Mein Humari Chipi Hai Chaahat Tumhari,
Is Dil Mein Bhi Samaayi Hai Tasveer Tumhari.
Tujhe Chaahne Ko Dil Chaahata Hai,
Tujhe Pyar Karne Ko Dil Chaahata Hai.
Chaahat Yeh Meri Tere Liye Hi Hai Sanam,
Tujhe Apna Banaane Ko Dil Chaahata Hai.
Tammannayein Is Dil Mein Aur Nahi,
Teri Tammanna Ke Baad.
Maanga Khuda Se Kuch Aur Nahi,
Teri Chaahat Paane Ke Baad.