Beqraari Ke Is Aalam Ka Ant Kab Ho..
Kab Unka Is Naacheez Pe Nazre-Karam Ho..
Intzaar Ki Intihaan Kuch Hai Is Qadar..
Aahat Har Lagti Hai Yun, Ki Woh Aa Gaye Ho..

Dhadkano Ka Chalan Aur Tez Ho Raha…
Khushboo Unki… Woh Mehak, Rub-Roo Ho Gayi Ho…
Deedar Mila Aise.. Chaand Ka Amaavas Ke Baad Jaise..
Chandni Bhi Apni Mohabbat Ki Gavaahi De Rahi Ho..
Unse Nazre Milli, Ghabraa Gayi Main..
Jism Ko Nahi.. Unhone Rooh Ko Choo Aa Ho..
Aankhon Hi Aankhon Me Dard-E-Judaai Kiya Bayaan..
Bheegi Palkon Ne Jaise, Saara Afsaana Kaha Ho..
Na Hum Kuch Keh Paaye, Na Woh Kuch Keh Paaye..
Dua To Rahi Bas Yehi.. Ki Is Raat Ka Ant Kabhi Na Ho…
Haan!!! Is Raat Ka Ant Bas Ab Kabhi Na Ho….