Bejaan Patharon Mein Nayi Jaan Dali
In Sookhe Hue Hotho Pe Ek Muskan Dali
Tere Chahaton Ne In Rahon Mein Meri Nayi Pehchaan Dali
Teri Is Muskurahat Ne Diya Aisa Sila
Apne Jahan Ki Humney Ek Ek Eeint(Brick) Badal Dali
Sochne Samjhne Layak Naa Raha Dimag
Ke Dil Ne Apni Nayi Dukaan Khol Dali
Un Ankhon Ka Kahar, Un Hothon Ka Zahar
Ab Hamarey Liye Har Dava-Daru Bekar Kar Dali
Hotey Hue Hum Iss Jahan Mein Nahin
Ke Sarey Jahan Se Naa Jaane Kaisi Dushmani Humney Kar Dali
Teri Har Ik Adaa Ka Asar, Janey Kya Hua Idhar
Tere Balon Ka Lahrana, Uss Par Yun Palkon Ka Jhapkana
Teri Inhi Balaon Ne
Bejaan Patharon Mein Nayin Jaan Daali
In Sookhe Hue Hotho Pe Ek Muskan Dali
Tere Chahaton Ne In Rahon Mein Meri Nayi Pehchaan Dali