Barish Se Bhingi Phoolon Kee Pankhudiyon
Per Padi Chandani See Komal Ho Tum,
Tumhari Najar Kee Khumari Kahati Hai
Samaa Ajj Kuchh Badla Saa Hai.
Labh Pe Chhoti See Muskan Aur
Sahne-Gulsan Mein Tumhara Hona,
Abre-Bahar Mein Raunak Hai Ajj,
Har Najara Kuchh Badla Saa Hai.
Ulfat Kee Har Cheese Khuda Ne Baksi Hai
Tumhe Aiy Mahjabin,
Jheel See Ankhein Samandar See Gahreen,
Najara Ulfat Se Bhara Sa Hai.
Tumhari Baton Mein Ajib See
Kashish Hai Har Pal Kheechati Hai Mujhko,
Mujhe Kyun Lagane Laga Hai
Mera Har Lamha Badla Saa Hai.
Subah Kee Keerno Kee Laali Mein
Nahayee Ek Pari Ho Tum,
Iss Subah Ke Sath Na Jane Kyun,
Rukh Hawa Ka Badla Saa Hai.
Ye Muskurana Sath Mein Ankein
Jhukana Andaj Neerala Hai,
Pata Nahin Aisa Lagta Hai Jeendagi
Ka Har Mayana Badla Saa Hai.
Dil Ko Yakin Hone Laga Hai Tumhi
Ho Meri Kalpna Kee Ghazal,
Tumhe Nahin Lagta, Mere Leekhane Ka
Andajj Badla Saa Hai.
Ek Meethee See Dhoon Samandar Kee
Lahron See Ane Lagi Hai Ajkal,
‘Sahil’ Se Takrakar Inn Lahron Kaa
Meejaj Bhi Badla Saa Hai.
Jeendagi Kee Rahon Per Har Bar Rukane
Kee Tammana Hai Jab Bhee Dekhun Tumhein,
Her Ikk Rah Ke Bad Abb To Har
Rah Ka Safar Bhee Badla Saa Hai.