Ban Ajnabee Wo Aise Meri Zindaagi Mein Aayengi
Rakh Haath Mere Sar Pe Mujhe Jeena Sikhaayengi
Chhupa Mujhko Wo Apne Aanchal Kii Chhaanv Mein
Duniyaa Bhhar Kii Burii Nazaron Se Bachaayengi
Bin Aashirwaad Ke Unke Meri Subah Na Hogi Poori
“Mera Baccha” Keh Mujh Par Yun Pyaar Lutaayengi
Pyaari Is Maa Se Kabhi Sach Me Milna Meraa Hoga
Pehli Hi Mulakat Me Mujhe Woh Dil Me Bithaayengi
Banaa Dost Woh Mujhe Padhaa Karengi Mere Dil Ko
Maa Ban Ke Fir Mujhe Sahi Raah Bhii Dikhaayengi
Mushkil Hoga Ek Din Bhi Bin Unke Saath Ke Bitaana
Ehsaas Apnaa Liye Yun Mere Dil Mein Wo Samaayengi
Jaaoonga Jab Kabhii Bhii Main Milne Ko Unke Aangan
Raahen Sajaane Ko Meri Palken Apni Wo Bicchaayengi
Jiyegaa ‘Pulkit’ Sar Apnaa Rakhkar Unki God Mei Hii
Pyaar-O-Dulaar Woh Is Tarah Mujh Par Barsaayengi