Bahut Khubsurat Tha Wo Manzar
Jab Tune Mujhe Apnaya Tha
Lagta Tha Mujko Jese Tu Ek
Farishta Bankar Aaya Tha
Duniya Kii Nahii Kii Parvah
Tune Mera Sath Nibhaya Tha
Trei Bate Tari Harkato Ne
Mere Dil Ko Chruraya Tha
Aaadat Ho Gaya Tha Tu Meri
Har Sans Mein Tujko Basaya Tha
Kurban Kiya Tha Sab Kuch Tuj Par
Apna Khuda Tujhe Banaya Tha
Karti Gayi Mein Teri Har Bat Par Yakeen
Jismo Jan Bhi Tuj Par Lutaya Tha
Mein Samji Thi Tujko Sirf Aapna
Aur Tu Kisi Aur Ka Hokar Aaya Tha
Teri Duniya Thi Muzse Alag
Par Meri Duniya Me Sirf Tu Samaya Tha
Kar Naa Paya Tu “Naaz”Se Vafa
Jab Usne “Naaz” Pe Ilzam Lagaya Tha
Deta Raha Tu Muzhe Pyaar Kii Kasme
Teri Kasmo Ko Kab Tune Nibhaya Tha
Kaheta Tha Karta Hu Tujse Beintaha Pyaar
Pyaar Kaa Matlab Kaha Tu Samaz Paya Tha
Benam Tha Rishta Tera Aur Mera
Badnam Use Tune Banaya Tha