Bahut Khubsurat Ho Tum
Bahut Khubsurat Ho Tum.
Kabhi Main Jo Keh Doo Mohabbat Hai Tum Se
Meri Mahobbat Ko Galat Na Samazana
Ke Khuda Ki Kasam Se Murat Ho Tum
Bahut Khubsurat Ho Tum.
Hai Phoolon Si Naazuk Muskaan Tumhari
Hai Khamosh Jadoo Jubaan Tumhari
Har Jakham Ko Tumhare Apne Seene Se Lagaa Lun
Shabnami Tabbssum Se Tere Hotho Ko Sajaa Loo
Nazar Se Zamane Ki Khud Ko Bachaana
Kissi Aur Se Dekho Jaanu Dil Na Lagaana
Ke Mere Kurbat Ho Tum
Bahut Khubsurat Ho Tum.
Yaado Par Meri Hai Pehra Tumara
Rubru Hai Hardam Ye Chehra Tumara
Gulaabo Sa Nazuk Mehekta Badan Hai
Yeh Lab Hai Tumhare Ya Khilta Chaman Hai.
Lehraaye Aanchl To Sharmaaye Badal
Yeh Zahid Bhi Dekhe To Ho Jaye Pagal
Oh Pakiza Murat Ho Tum
Bahut Khubsurat Ho Tum.
Bikheron Teri Zulfein To Sharmaye Raateein
Khwaabo Ki Saugaate Hai Teri Mulakaatein
Dil Pe Tune Jaane Kya Jaadu Kiya
Dhadkano Ko Tune Bekaabu Kiya Hai
Ki Meri Jarurat Ho Tum
Bahut Khubsurat Ho Tum.
Gulshan Si Mehkati Hai Baahen Tumaari
Noor-E-Khuda Si Nigaahe Tumhari
In Mai Kahi Basne Ko Ji Chahta Hai
Ashq Ban Ke Behne Ko Ji Chahta Hai
Meri Hi Paak Mahobbat Ho Tum
Bahut Khubsoorat Ho Tum
Jo Ban Ke Kali Muskurati Hai Aksar
Shab – E – Hijrr Mein Jo Rulati Hai Aksar
Jo Lamho He Lamho Mein Duniya Badal De
Jo Shayar Ko De Jaye Pehlu Gazal Ke
Chupana Bhi Chahu To Chupaa Nahi Paaun
Bhulana Bhi Chahu To Bhula Nahi Paaun
Woh Pehli Muhabbat Ho Tum
Bahut Khubsurat Ho Tum.