Baharon Mein Raat Kii Chandni Apni Chaahat Kiyon Aazmaye?
Un Sitaron Se Pucho Jo Chand Ko Sajaah Kar Aasman Mein Jhuulaaye
Phoolon Kii Nazaakat Mein Chandni Apna Hejaab Kis Khoobsurti Se Chupaye
Baagh Baan Kaa Kamaal Dekho, Aaj Chand Ko Chandni Aur Phool Ekk Nazar Aaye
(Nazaakat = Delicacy) (Hejaab = Shyness) (Kamaal = Miracle) (Baagh Baan = Gardner)
Tasawwur Mein Chandni Kii Parchaaii Kesi Masti Laaye Chand Kii Chhaa’oƒÂ± Mein
Ke Ab Gulistaan Ke Aanchal Mein Gulaab Ko Har Dushman Se Panaah Mile
(Tasawwur = Idea) (Chhaa’oƒÂ± = Shade) (Gulistaan = Garden) (Panaah = Shelter)
Baadalon Ne Kaha Hei, Ke Chand Aur Chandni Ki Mohobat Har Zamaaneh Ka Maajra Hei
Bahaar-E-Mausam Ne Yei Gawaahi Dhee Hei, Aur Ugte Gulaab Ne Yeh Saabit Kiya Hei
(Maajra = Story) (Bahaar-E-Mausam = Spring Season) (Ugte = Growing) (Saabit = Prove)
Aasmaan Mei Ek Naya RaƒÂ±g Sa Chaagayaa Hein, Aur Phoolon Mein Ekk Nayii Raunaq Aagayee Hein
Bus Kahein Kiya Tumse Yaaron, Aaj ‘Raj’ Ko Bhi Kisi Se Mohobat Hogayee Hein