Bade Zor Ki Barsaat Thi,
Saawan Ka Mahina Wo Suhana Tha,
Aise Mein Kya Gazab Un Ka
Wo Mujh Se Mod Pe Takrana Tha,
Uff Wo Baarish Ki Boondon Ka
Un Ki Julfon Se Gaalon Pe Tapakna,
Kya Khoob Us Par Wo Un Ka
Simat Kar Haule Se Sharmaana Tha
Isi Bekhayaali Mein Hum Jaane
Kab Keh Gaye Aati Kya Khandala
Walaah Kya Sitam Us Zaalim Ka
Jawaab Mein Chaanta Lagana Tha.