Baat Nikalegi To Phir Duur Talak Jaayegii
Log Bevajah Udaasii Kaa Sabab Puuchhenge
Ye Bhii Puuchhenge Ki Tum Itani Pareshaan Kyun Ho
Ungaliyaan Uthengii Sukhe Huye Baalon Ki Taraf
Ik Nazar Dekhenge Guzre Hue Saaloon Ki Taraf
Chudiyon Par Bhi Kai Tanz Kiye Jaayenge
Kaanpate Haathon Pe Bhii Fikre Kase Jaayenge
Log Zaalim Hain Har Ik Baat Kaa Taanaa Denge
Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhi Le Aayenge
Unakii Baaton Ka Zaraa Saa Bhi Asar Mat Lenaa
Varnaa Chehare Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
Chaahe Kuchh Bhii Ho Savaalaat Na Karanaa Unase
Mere Baare Mein Koi Baat Na Karana Unse
Baat Nikalegii To Phir Dur Talak Jaayegii