Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar
Aye Ishq Na Ched Aa Aa Ke Hamein
Ham Bhoole Hoye Ko Yaad Na Kar
Pehle Hi Bahut Naashad Hain Ham
Tu Aur Hamein Naashaad Na Kar
Qismat Ka Sitam Hi Kam Nahi Kuch
Yeh Taaza Sitam Ijaad Na Kar
Yun Zulm Na Kar Bedaad Na Kar
Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar
Jis Din Se Mile Hain Dono Ka
Sab Chain Gaya Aaram Gaya
Cheharon Se Bahaar-E-Subah Gayi
Aankhon Se Farogh-E-Shaam Gaya
Haathon Se Khushi Ka Jaam Chuta
Honthon Se Hansi Ka Naam Gaya
Ghamgin Na Bana Naashaad Na Kar
Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar
Raaton Ko Uth Uth Ke Rote Hain
Ro Ro Kar Duaien Karte Hain
Aankhon Main Tasavvur Dil Main Khalish
Sar Dhunate Hain Aahein Bharte Hain
Aye Ishq Yeh Kaisa Rog Laga
Jeete Hain Na Zaalim Marte Hain
Yeh Zulm To Aye Jalaad Na Kar
Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar
Yeh Rog Laga Hai Jab Se Hamein
Ranjeeda Hoon Main Beemaar Hai Woh
Har Waqt Tapish Har Waqt Khalish
Bekhuwaab Hoon Main Bedaar Hai Woh
Jeene Se Idhar Bezaar Hoon Main
Maranbe Pe Udhar Tayaar Hai Woh
Aur Zabt Kahe Fariyaad Na Kar
Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar
Bedard Zara Insaaf To Kar
Ais Omar Main Aur Maghmoom Hai Woh
Phoolon Ki Tarah Naazuk Hai Abhi
Taaron Ki Tarah Masoom Hai Woh
Yeh Husan Sitam Yeh Ranj Ghazab
Majboor Hoon Main Mazloom Hai Woh
Mazloom Pe Yun Bedaad Na Kar
Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar
Aye Ishq Khudara Dekh Kahin
Woh Shokh Hasin Badnaam Na Ho
Woh Maah-E-Laqa Badnaam Na Ho
Woh Zohra-Jabin Badnaam Na Ho
Naamoos Ka Us Ko Paas Rahe
Woh Parda Nashin Badnaam Na Ho
Us Pardaa Nashin Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar
Omeed Ki Jhuthi Jannat Ke
Rah Rah Ke Na Dikhla Khuwaab Hamein
Aainda Ke Farzi Ishrat Ke
ade Se Na Kar Betaab Hamein
Kahata Hai Zamana Jis Ko Khushi
Aati Hai Nazar Kaamayaab Hamein
Chod Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar
Do Din Hi Main Ahad-E-Tifali Ke
Masoom Zamaane Bhool Gaye
Aankhon Se Woh Khushiyaan Mit Si Gayi
Lab Ke Woh Taraane Bhool Gaye
Un Paak Bahishti Khuwaabon Ke
Dilchasp Fasaane Bhool Gaye
n Khuwaabon Se Yun Aazaad Na Kar
Aye Ishq Hamein Barbaad Na Kar