Aye Husn Hamari Fitraat Hai Ham Sath Naa Tera Chhodenge
Par Tere Sitam Ke Kisse Sab Likh Kar Sheroon Main Keh Denge
Badnaam Naa Hone Denge Tujhe Jeete Jee Lakeen Yaad Rahe
Ek Roz Tujhe Sab Log Mere Qatail Ke Naam Se Dhundenge
Aur Chunki Aap Ne Zikar Kar Diyaa Hai To Farq Batana Bhi Zaroori Hai
Kitne Rangon Main Tu Hai Bani Shayad Hi Kabhi Hum Jaan Saken
Poojenge Tujhe Maa Keh Kar To Dil De Ke Tujhe Hum Tadpenge
Sharmati Ho Bal Khati Ho Bachchon Ki Maa Kehlati Ho
Bas Khul Kar Pyaar Agar Baanto Hargiz Na Zabaan Hum Kholenge
Paise Ki Baten Woh Na Karen Laalach Ki Baat Bhi Rehne Den
Kal Ishq Agar Kangaal Huwa Kia Chain Se Woh Jeene Denge
Har Roz Kisi Pe Marte Hain Marne Se Kab Hum Darte Hain
Wada Jo Karo Tum Ulfat Ka Tum Ko Jeena Sikhlaa Denge
Ghut Ghut Jeene Ki Chah Kise? Aye Khuda Nahi Parwaah Magar
Jo Pyaar Na Tera Baant Sake Kia Tujh Ko Muh Dikhlayenge
Besabar To Aap Bhi Hongi Ab Lag Jaiye Kataar Utha Kar Kaam Pe