Aye Dil Humay Bhi Kise Say Wafa Ki Tamana Hai
Tu Hi Bata Is Mei Hamari Koi Khata Hai
Hum Nay Mohabat Ki Kasmain Khaain Hai
Tu Us Nay Bhi Tu Kiye Waday Bohat Hai
Gar Hamari Beqarariyan Kam Nahi Koi
To Uski Arzooyon Ki Bhi Hadh Nahi Koi
Wo Chahay To Lay Shoq Say Imtahan Mera
Lakin Hai Yaqeen Kamrani Hogi Muqadar Mera
Jab Dekha Usay Saray Rah Meinay
Kehgaya Negahon Mei Hazar Shikway
Hum To Chahtay Hain Kardain Her Arzoo Puri
Magar Samajhta Nahi Wo Hamari Majbori
Hum Say Bhi To Na Sahi Jai Yeh Doori
Dua Kar Khatam Hojai Yeh Zindagi Adhori
Jatay Jatay Bas Itna Hi Kehna Hai Gul-E-Lala
Ay Dil Humay Bhi Kise Say Wafa Ki Tamana Hai