Ay Hawa Zara Aahista Se Gujar
Mera Chaand Zulf Bikhraaye Aaya Hai
Mai Kho Jaana Chaahta Hoon Un Nigaahon Me
Jinhe Usne Abtak To Na Uthaya Hai
Kabhi Apne Dupatte‚  Ko Suljhati Hai
Kabhi Chehre Se Zulfon Ko Hataati Hai
Jaanti Hain Wo Nigaahein Ke Mai Parh Leta Hoon Unhe
Shaayad Isi Liye Labon Se Kam Hi Batiyaati Hai
Ye Khamoshi Ada Nahi Phitrat Hai Uski
Wo Har Ek Se Khulkar Nahi Mil Paati
Ujaalon Me Nazdikiyaan Use Kubool Nahi
Or Chaandni Raatein Aksar Roj Nahi Aati