Ar Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum
Ar Baar Tum Se Milkay Bichadta Raha Hon Mein
Tum Kon Ho Yeh Khud Bhi Nahi Jaanti Ho Tum
Mein Kon Hoon Yeh Khud Bhi Nahi Jaanta Hoon Mein
Tum Mujhko Jaan Kar Hi Pari Ho Azaab Mein
Aur Is Tara Khud Apni Saza Ban Gaya Hoon Mein

Tum Jis Zameen Par Ho Mein Us Ka Khuda Nahi
Pass Sar Basar Aziyat-O-Aazar Hi Raho
Bezaar Ho Gahi Ho Bahit Zaindagi Se Tum
Jab Bas Mein Kuch Nahi Hai To Bezaar Hi Raho
Tu Ko Yahan K Saaya-O-Partoo Se Kya Garaz
Tum Apne Haq Mein Beech Ki Deewar Hi Raho
Mein Ibtada-E-Ishq Se Bemahar Hi Raha
Tum Intaha-E-Ishq Ka Mayar Hi Raho
Tum Khoon Thookti Ho Yeh Sun Kar Khushi Hui
Is Rung Is Adaa Mein Bhi Purkaar Hi Raho
Mein Ne Yeh Kab Kaha Tha Mohabbat Mein Hai Nijaat
Mein Ne Yeh Kab Kaha Tha Wafadaar Hi Raho
Apni Mata-E-Naz Lutaa Kar Mere Liye
Bazaar-E-Iltafaat Mein Nadad Hi Raho
Jab Mei Tumay Nishaat-E-Mohabbat Na De Saka
Gham Mein Kabhi Sukoon-E-Rafaqat Na De Saka
Jab Mere Saare Chiraag-E-Tamanna Hawa K Hain
Jab Mere Saare Khwaab Kisi Bewafa K Hainn
Phir Mujhko Cahanay Ka Tumay Koi Haq Nahi
Tanha Karahanay Ka Tumay Koi Haq Nahi..