Ankahe Dard-O-Gam Ke Qaafile Si Lagti Thi Ye Zindagi,
Chale Jaa Rahe The Hum Be-Maqsad Se, Anjaan Raaston Pe,
Thokarein Lagi Raahon Mein Beshumaar Humein,
Pattharon Se Takrate Takrate Ye Dil Bhi Ho Gaya Bejaan, Banjar,
Apne Saaye Ko Dhundte Rehte The Yahan Wahan,
Gam Ki Tareeqiyon Mein Apni Parchhayi Bhi Kho Gayi Kahin,
Na Manzil Ki Thi Justuju Na Hi Humsafar Saath Mere,
Phir Yun Hua Ke, Un Gumraahiyon Mein Chalte Chalte,
Ek Ajnabi Humse Takra Gaya, Na Jaane Kyon Laga Ek Pal Wo Apna Sa,
Kuchh Pal Dekhti Rahi Main Un Masoom Si Nigahon Ko,
Kuchh Keh Rahi Thi Un Aankhon Ki Gehrayi Mujhse,
Pher Li Humne Nigaahein Apni Ke Doob Na Meri Hasti Un Mein,
Kaha Usne, “In Andheri Raaston Pe Kho Jaogi Kahin,
Ye Zamane Ki Zard Hawayein Murjha Na Dein Tumhari Rooh Ko,
Chalo Hum Kuchh Der Tumhare Sath Chalte Hai”,
Kaha Maine “Hum Ajnabi Shakhson Pe Yaqeen Nahi Karte,”
Usne Kaha, “Kyon! Apne Hi To Yaqeen Toda Karte Hai,
Aur Kabhi Kabhi Ajnabi Bhi Humsafar Ban Jaate Hai,
Jaane Kya Tha Uske Andaaz Mein Hum Mana Na Kar Sake,
Chalne Lage Uske Qadam Mere Qadmon Ke Humsafar Banke,
Na Tha Lafzon Ka Silsila Hum Dono Mein Der Talak,
Khamoshiyan Lafzon Ki Kuch Gungunane Lagi,
Gam Usko Bhi Tha, Usne Bhi Apna Azeez Khoya Tha Shayad,
Fark Itna Tha Apne Aansu Chhupane Ko
Usne Ankhon Pe Muskurahat Ki Palkein Saja Rakhi Thi,
Jab Palkein Uthata Tha Kuch Aansu Jhilmilane Lagte The,
Dekh Na Lun Un Aansuon Ko Kahin Main,
Isliye Palkein Gira Di Aankhon Pe Usne,
Ek Aansu Dhoka De Gaya Usko, Uski Palkon Se Takra Ke,
Aankhon Ke Kinaaron Se Chhalak Pada,
Maine Puchha Is Akele Se Aansu Ka Sabab,
Badi Masumiyat Se Usne Keh Diya Mujhse,
“Koshish Karta Hoon Apne Pyaar Ko Aansuon Ke Raste Alwida Kehne Ki,
Par Aankhein Bhi Kitni Pagal Hai, Samajh Hi Nahi Paati,
Ek Aansu Kam Hota Hai To Senkdon Janam Le Lete Hai”Dekhti Rahi Uski Aankhon Ko Main, Socha,
Kitne Sailaab Dabaye Hai Usne Apni Aankhon Ki Gehraiyon Mein,
Chalte Rahe Hum Yunhi Khamoshi Ko Zubaan Banate Hue,
Baatein Karne Lagi Dhadkanein Khud Apne Hi Aap Mein,
Saanson Ne Saanson Se Kuch Hi Pal Mein Ajeeb Sa Rishta Jod Liya,
Dono Ke Qadam Ek Dusre Ke Dikhaye Raste Pe Chalte Jaa Rahe The,
Phir Achanak Raah Mein Ek Anjaan Sa Mod Aa Gaya,
Ladkhadane Laga Jo Qadam Mere, Thaam Liya Usne Haath Mera,
Na Jaane Kyon Laga Dilko Ye Baahein Sambhal Legi Duniya Ki Thokaron Se Hamein,
Phir Ho Gayi Aankhein Meri Nam Ek Khayal Se Mere,
“Jab Apno Ne Hi Chhod Diya Andhere Mein Bhatakne Ko,
Phir Kyon Is Ajnabi Ne Roshni Dikhayi Mujhe Gam Ki Raaton Mein,”Ek Aansu Mera Banke Yehi Sawal Uske Daaman Mein Gir Pada,
Samet Liya Usne Us Ashq Ke Qatre Ko Badi Nazakat Se,
Laga Jaise, Mera Saara Dard Chhupa Lega Apni Aagosh Mein Wo,
Mere Dard Kuch Sawal Karne Lage Usse,
Aakhir Kaun Ho Tum, Koi Farishta Khuda Ka Bheja Hua?
Kyon Tumhe Dil Apna Sa Maanne Laga Kuch Hi Palon Mein,
Dar Lagta Tha Apno Ke Sath Chalne Mein,
Apno Ne Hi Thokar Maari Hum Ko Har Ek Raaste Mein,
Apno Ne Hi To Fanaa Kiya Mere Jazbaaton Ko, Rooh Ko Zaar Zaar Kiya,
Kyon Aaj Koi Jhijhak Nahi Hai Ek Ajnabi Ke Saath Chalne Mein,
Yahan To Umar Bhar Ke Rishte Bhi Aksar Anjaan, Bejaan Se Lagte Hai,
To Kyon Ek Anjaan Sa Rishta Mujhe Itna Apna Sa Lagne Laga Hai,
Aakhir Kaun Ho Tum?
Kah