Ajeeb Si Baat Hogi Naa Gar Mai Pagal Ban Firoon
Mast Hawa Mein Udane Kaa Khwaab Dekh Sakoon
Us Din Sagar Kinaare Baith Jo Dekha Tha Nazara
Khwahish Hai Kii Use Aankho Mein Kaid Kar Loon
Kabhi Dhoomil Na Pade Wo Yaade Us Safar Ki
Ban Hawa Laharo Se Athkheliya Kar Udati Firoon
Puraani To Dhoomil Si Wo Yaaden Janm Le Fir Se
Haqiqat Na Sahi Khwaabo Me Mulakat Kar Sakoon
Aur Jo Kahi Naye Khwaab Pal Rahe Hai Man Me
Khwaab-O-Haqiqat Ke Milan Ka Raasta De Sakoon
Ek Ajeeb Chahat Umad Rahi Hai Thahar-Thahar Kar
Abhi Is Samay Mai Bacho Ki Tarah Chahak Sakoon
Daal Daal Par Udate Hue Wo Pankchi Pyaare Pyaare
Kaash Unaki Karah Hawa Me Anandit Ho Ud Sakoon
Chaand Taaro Se Khelate Hue Badalo Ka Nazaara Oh!
Asmaan Ke Is Pyaare Nazaare Ka Ek Taara Ban Sakoon
Uff -ŗgarima- Prakirti Ke Har Saundarya Ki Bholati Nahi
Is Anupam Prakriti Ke Saundarya Ka Ek Hissa Banoon
Ajeeb Si Baat Hogi Naa Gar Mai Pagal Ban Firoon
Mast Hawa Mei Udane Kaa Khwaab Dekh Sakoon