Aisa Kyon Hota Hai.
Ek Shakhs Jo Tha Kabhi Ajnabi Sa
Lagta Hai Aaj Hume Bas Apni Zindagi Sa
Kehne Ko Hai Bahut Dooriyan Hamare Bich
Par Lagta Hai Wo Hamein Hum Mein Sharik Sa.
Aisa Kyon Hota Hai.
Kabhi Jo Bhigta Hai Daaman Is Be-Mausam Barish Mein,
Ehsaas Hua Jaise Chupke Se Kuch Kaha Usne Kaano Mein
Kehta Tha Lipat Jaunga Tumhare Daaman Se Kuch Aise,
Jaise Barson Se Pyaasi Badli Koi Lipti Parbaton Mein.
Aisa Kyon Hota Hai.
Ye Boondein Karne Lagi Hai Saajish Shayad,
Hai Usi Dilbar Ki Ye Shararat Shayaad,
Kehta Tha Lipat Jaunga Tere Aanchal Se Ek Din,
Wo Aaya In Boondo Ke Zariye Hame Satane Shayad.
Aisa Kyon Hota Hai.
Ye Hawayein Sangdil Hoke Chhed Rahi Hai Hamein,
Gudgudi Karne Lage Hai Uske Ehsaas Hamein,
Tamannayein Ho Gayi Hai Aaj Jawaan Na Jane Kyon,
Kuch Khwaab Palkon Mein Aake Satate Hai Hamein.
Aisa Kyon Hota Hai.
Ab Bina Baat Ke Muskurane Lage Hai Hum,
Sard Raaton Mein Sapne Sajane Lage Hai Hum,
Hota Hai Uski Aagosh Ka Ehsaas Hamein,
Ab Apne Aap Mein Hi Simat Jane Lage Hai Hum.
Aisa Kyon Hota Hai
Hone Laga Hai Ab Koi Hamari Duwaon Mein Shaamil,
Uske Siwa Rab Se Kuch Maangne Ko Dil Nahi Karta,
Na Ho Agar Wo Hamare Rooh-O-Jaan Mein Shaamil,
To Hamein Ab Zindagi Jeene Ko Dil Nahi Karta.