Ai Ishq! Main Kahaan Huun, Mujhe Kuchh Pataa Nahiin
Sar Par Falak Nahiin Hai, Zameen Zer-E-Paa Nahiin
Pal Bhar Ko Bhii Khayaal Tiraa Bhuultaa Nahiin
Kaise Kahuun Ki Tujh Se Koii Vaastaa Nahiin!

Afsos! Ye Thikaana Bahut Der Kaa Nahiin
Ai Dil! Vagarna Dekh To Dunyaa Men Kyaa Nahiin
Haq Apnaa Chheentaa Huun, Kabhii Maangtaa Nahiin
Jur.At Mire Mizaaj Men Hai, Iltijaa Nahiin
Ab Tak To Be.Niyaazii-E-Dunyaa Kaa Ranj Thaa
Ab Tuu Bhii Meraa Haal Kabhii Puuchhtaa Nahiin
Pahle Bhii Dil Men Dard Uthaa Hai Bahaar Men
Ahsaas Kah Rahaa Hai Ki Ye Gham Nayaa Nahiin
Tahzeeb-E-Nau Ne :bojh: Puraane Hataa Diye
Sar Par Ridaa Nahiin Hai, Badan Par Qabaa Nahiin
Kashtii Pe Laakh Zor Ho, Tuufaan Par Kahaan!
Ham Naa.Khudaa Zaruur Hain Lekin Khudaa Nahiin
Main Ne Kahaa Ki Terii Nigaahon Men Kyaa Huun Main?
Us Ne Kahaa Ki Ghar Men Tire Aaiinaa Nahiin!?