Ahsaason Ki Ghurbat Ka Muqaam Hain
Ishq Jab Benur Perstish Ka Sabub Ban Jayay
Hawas Ki Hud Say Aagay Jiska Koi Daava Nahin
Us Ahsaas Ka Shumaar Zikr-E-Muhabbat Main Kyun Aayay
Ishq Nighaahain Milnain Say Hi Nahin Pa Laita Apna Wajud
Bahut Mushkil Hotay Hain In Raahon Kay Usul
Koi Jab Ban Pehchaan Apnay Khyaalon Ki Milay
Jab Lehraayay Kisi Chehray Main Apnay Ahsaaon Ki Pehnaai
Maaini Ishq Kay Tab Jalwagar Ho Kay Miltay Hain
Jismon Ki Dosti Phir Buss Hawas Ki Bunyaad Nahin
Muhabbat Ka Kudrati Sabub Ho Kay Milti Hain
Wo Jo Kehtay Hain Ki Jazbaat Kisi Usul Ka Haamil Nahin
Khumaar-E-Dast-Junun Tak Say Buss Wabasta Hain
Un Past Ruhon Say Jo Na Hui Tai Ishq Ki Bulandian
Hawas-O-Benur Parstish Ko Ishq Ka Paikar Diya
Aur Sadion Say Yahi Unka Beemaar Paimaanaa
Ishq Bun Kay Reh Gaya Buss Ik Harf-E-Mujrmanaa
Utho Tehzeeb-E-Nau Kay Humraaho
Ishq Ko Phir Say Khoya Maayni Lauta Do
Aur Duniya Ko Ye Samjha Do Ki
Jazbaat Ka Hospur Tarjuma Hai Ishq
Isliyay Hai Banaa Khuda Hai Ishq