Agar Tum Aao To,
Door Kisi Dariya Kinare Ki Geeli Ret Pe Gharonde Banayein,
Aur Ek Nayi Duniya Basayein.
Agar Tum Aao To,
Sheeshon Par Padi Waqt Ki Dhool Par Yaadon Ki Lakeerein Kheechein,
Aur Zindagi Ki Nayi Tasveerein Banayein.
Agar Tum Aao To,
Soone Veeran Pade Dil Ke Kisi Kone Mein Umeedein Lagayein,
Aur Kuch Khwaab Ugayein.
Agar Tum Aao To,
Magar
Magar Tum Aao To