Agar Mujh Ko Iss Lardki Se Ishq Wo Pyaar Hota Nahi,
Hey! To Main Bhi Shayiron Main Shumar Hota Nahi.
Agar Main Na Banta Iss Ke Ishq Shayer!,
To Main Bhi Kisi Ke Honar Main Shumar Hota Nahi.
Salam Deta Hoon, Shukar Ada Karta Hoon Main Apne Yaar Ka,
Ke Gar Wo Mujhe Na Milti To Main Bhi Ishq Ka Bimar Hota Nahi.
Agar Mera Sanam Zulf Main Qeed Rakhne Ke Liye Na Kharidta Mujhe,
To Main Bhi Kisi Shaks Ka Kharidar Hota Nahi.
Mana Ke Wo Mujhe Nigah-E-Pyaar Se Dekhti Hai, Par Pyaar Nahi Karti,
Agar Hota Ishq Iss Ke Dil Main Mere Liye To Iss Ka Dil Pathar Ki Dewar Hota Nahi.
Agar Main Jald Samajh Jata Musam Ke Rang Wo Roop Ko Aye Sanam!,
To Mujh Pe Bhi Har Musam Hey! Musam-E-Khar Hota Nahi.
Hoon Asj Bhi Salamat Ha Khuda Aur Surat-E-Yaar Ki Maharbani,
Main Bhi Na Ji Pata Iss Jahan Main Gar Tera Dayar Hota Nahi.
Agar Tera Sath Mujhe Muqadar Karta Khuda Aye Jaan Hamesha Ke Liye,
To Main Bhi Be His, Bebas Wo Mayosi Se Sina Figaar Hota Nahi.
Nahi Likhta Jis Roz Teri Sar Noshat Koi Ghazal Ya Sher Aye Jana,
Os Din Main Bohat Rota Hoon, Aur Teri Surat Tak Ka Bhi Didar Hota Nahi.
Na Khushi Hai Tujh Se Milne Ki, Ghum Ha Tujh Se Juda Hone Ka,
Bas Iss Liye Mujhe Kisi Aur Lardki Se Pyaar Hota Nahi.
Dono Ek Sath Lahaq Na Hote, Ghum-E-Ishq Wo Ghum-E-Rozgar!,
Hey To Mera Jina Iss Qadar Iss Duniya Main Dushwar Hota Nahi.
Kese Reh Pata Tanha Wo Akela, Biyaban Wo Zindan Ki Veraniyon Main?,
Hey Agar Sath Mere Sanam Tera Mehfil-E-Bazam Wo Chaman-E-Bahaar Hota Nahi.
To Kabhi Na Kar Pati Apni Talwar Se Mere Tokde Tokde!,
Agar Mujh Pe Itni Zoor Se Teri Tawar Ka War Hoya Nahi.
Maaf Kar Deta Khuda Bhi Aye Mehbob Mere Har Gonha Ko!,
Agar Main Iss Duniya Ki Burai Wo Gonhagaron Main Shumar Hota Nahi.
Samajhte Wo Kehte Sab Mujhe Acha, Neek Wo Kaam Wala Insan “Haseeb”
Agar Main Teri Muhabbat Ki Waja Se Roswa Wo Insan Be Kaar Hota Nahi.

By Mirza Haseeb