Adaayein Khoob Woh Bhi Banaa Lete Hain
Anjaam-E-Ishq Poocho To Nazrein Jhukaa Lete Hain
Kya Kya Sitam Mere Sanam Mujhpe Dhaate Hain
Muskurakar Raaz-E-Ulfat Dil Me Chupaa Lete Hain
Madhmast Nighahon Se Woh Jo Dekh Lein Ek Baar
Sooye Armaanon Ko Hum Bhi Jagaa Lete Hain
Pooche Koi Unse Jo Khamoshi Ka Sabab, To
Lab-E-Khaamosh Ko Woh Aur Bhi Dabaa Lete Hain
Dil Dhadhak Uthtaa Hai Unke Ek Deedar Se
Haye!Woh Jo Zaraa Sa Chilman Uthaa Lete Hain
Khayalon Mein Rahte Hain Unke Khooye Khooye
Yaadon Mein Unki Beshumaar Sapne Sajaa Lete Hain
Jab Hota Hai Zikr Duniya Mein Mehjabinon Ka
Unka Naam Le-Lekar Apne Hoothon Ko Thakaa Lete Hain
Jaaney Woh Humse Pyaar Karte Bhi Hain Ya Nahi
Ye Soch Soch Ke Sir Apna Hum Khapaa Lete Hain
Karte To Honge Woh Bhi Pyaar Humse Ho Na Ho
Warna Woh Kyon Mere Naam Ki Mehndi Lagaa Lete Hain
Kabhi Na Kabhi To Woh Bhi Ikraar Karenge Hi
Is Umeed Pe,Dil-E-Nadaan Ko Hum Bhi Samjhaa Lete Hain
Ae Meri Azeez Shumaila Ab Tu Hi Duaa Kar
Chal Teri Duaoon Ko Bhi Aaj Hum Aazmaa Lete Hain