Abhi Nikli Hai Choo Kar Ke Dil Ki Mere Daali,
Woh Ladki Hai Ya Hai Koi Hawaa Matwaali.
Khile Poora Badan Zara Jo Muskara De Woh
Dikhe Masoom , Chanchal, Shokh Adaa Waali.
Woh Gesu Hain, Ya Badal Athkheliyaan Karte,
Surahidaar Gardan Bhi Hai Kya Khoob Niraali.
Gulaabon Main Bhi Na Dekha Wo Gulaabipan,
Jo Lab Se Hai Numaaya, Gulaabi Pankhudi Waali.
Ghaneri Palkon Ka Bhi Johar Kuch Niraala Hai,
Woh Pal Main Din Aur Pal Main Raat Hai Kaali.
Chupa Rakhe Hain Na Jane Kitne Raaz Aankhon Main,
Woh Jheel Si Gehri Aankhein, Jiski Hain Paataali.
Jo Chaahe Pad Le Chehre Pe, Bilkul Saaf Hai Likha,
Na Jaane Kitni Nazrein Guzri Hongi Hasraton Waali.
Mehektaa Lamba Tan Jiski Woh Khudzaat Hai Maalik,
Chaal Bhi Kya Khoob Paai Hai Pagdandiyon Waali.
Na Tha -Ë—adil-‘ Iraada Aaj Nayaa Kuch Likhne Ka,
Utha Qalam Jo Dekhi Shakhsiyat Mukammal Ghazal Waali.